Khwab mein Madina Munawwara dekhne ki tabeer
Jo khwab mein Madina Munawwara dekhe aur isme jaaye toh yeh deen aur dunya ki bhalayiyan hasil hone ki daleel hai.
Jo dekhe keh woh baabul haram, babul hujrah ke paas khada hai toh yeh uski tauba wa maghfirat ki basharat hai.
Baaz kehte hain keh Madina munawwara ka dekhna kuch wajuhat ki nishan dahi karta hai:
- Aman
- Maghfirat
- Rahmat
- Nijaat
- Fikr o gam ka zawal
- Khushgawar zindagi





