Khwab Mein Amrood Dekhna

Khwab Mein Amrood Dekhna
  1. Khwab mein Amrood dekhna kaisa hai?

    Tamam tareef ALLAH A’zzawaj ke liye, Durood O Salam ho uske pyare habeeb Mohammadur RasoolALLAH (Salallahu a’laihi wa sallam) par

    Agar mausam mein khaye toh khushi hasil ho aur maal halal ka pana hai.

    Khwab mein jaam dekhne ki tabeer

    Imam Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh khwab mein amrood ka khana darj zeel wajeh par hai:

    1. Maal e Halal
    2. Aurat
    3. Mard ka pana
    4. Nafa
  2. Khwab mein amrood khana

    Hazrat Ibn e Sireen A’laihirReh’ma ne farmaya hai keh amrood ka apne waqt par khana keh sabz aur shireen hai daleel hai keh maal e halal payega. Aur agar amrood zard hai toh beemar hoga.

    Agar amrood mausami nahi hai aur zyada surkh hai aur maza shireen hai toh is amr ki daleel hai keh maal e halal payega. Agar tarsh aur be-maza hai toh gam ki daleel hai.

    Hazrat Kirmani ne farmaya keh amrood sabz aur shireen mausam mein dekhna apni murad ko pana hai aur agar khaye toh bhi nafa ki hai.

  3. Khwab mein amrood todna

    Khwab mein darakht se amrood todna is baat ki daleel hai keh ladi paida ho ya maal wa zar zyada haath aaye.

  4. Khwab mein tarsh amrood khana

    Khwab mein tarsh amrood khana is amr ki daleel hai keh gam wa alam mein mubtala hoga. Agar bad maza ho toh badbakhti ki alamat hai.

2 thoughts on “Khwab Mein Amrood Dekhna

  1. I m prgernt mojy khvab me kisi ne amurd dia tah vo ma ne kha liya tha our pher khvb aii Kay me apne bechy ko dood pila Rhee hn dood kafii pasta ma hai naikl rha hai tu plzzz is ki tabeer bta dain plzzz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.