khwab mein Kawwa Dekhna

khwab mein Kawwa Dekhna

khwab mein kawwa dekhne ki tabeer

Khwab mein kawwa a’zeem sabr karne wala bhari aadmi hai ya bakheel ya khud pasand shaks hai. Hazrat Ibn e Sirin Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh khwab mein kawwa faasiq aur jhoota aadmi hai.

Hazrat Ibrahim Kirmani (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh kawway ko khwab mein dekhnay ki taweel hindustani kaneez hai. Aur khwab mein bohat se kawway dekhna lashkar hai.

Kawwa ma’ash mein hirs, wa tamaa, ki bhi dalelel hai. Aur kawwa zameen mein poshida ashyaa aur murdon ko dafan karne ki daleel hai. Jaisa ALLAH ta’ala ka farman hai, “ALLAH ta’ala ne ek kawwa bheja jo zameen mein kuredne laga taake usko dikhaye keh woh apne bhai ki la’ash kaise chupaye“. (Al Maa-ida)

Kawwa kabhi be-watani aur waqia’at se badshuguni lene aur masaa-ib wa aalaam ki daleel hota hai. Aur khet ka kawwa us aadmi ki daleel hai jisme achayi aur burayi mili huwi ho.  Jo khwab mein siyaah safed daagho wala kawwa dekhe toh woh bedari mein koi qabil e ta’ajjub cheez dekhega. Jo shaks khwab mein kisi jagah par kawwa dekhe toh us jagah musafir aadmi wafat payega.

Khwab mein kawwa pakadna

Aur agar dekhe keh usne kawwa pakda hai, daleel hai keh kisi aise aadmi se milega jiski kawway ki sifat hogi aur behuda kaam mein mashghool hoga.

Khwab mein kawway ko marna

Agar dekhe keh kawway ko mara hai daleel hai keh us jagah kafir aur fasadi log aur chor jama honge. Aur agar dekhe keh kawway ka shikar kiya hai, kisi jagah se jhoot ke saath maal payega.

Harzrat Kirmani ke mutabiq agar dekhe keh kawway ko mara hai, daleel hai keh uske ahle bait ko nuqsan pohunchega. Agar dekhe keh bohat se kawway hawa mein aate hain aur guzarte hain, daleel hai keh us mulk mein un kawwo ke barabar lashkar aayega.

Khwab mein kawway ka chamda utarna

Agar dekhe keh kawway ka chamda utara hai, daleel hai keh musafir aurat se zina karega.

Hazrat Jabir Maghrabi (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai, agar dekhe keh kawwa aur chor dono iske shalwar mein the, daleel hai keh kaneez ke sath fasad karega.

Agar dekhe keh kawway ke sath jima kiya hai, daleel hai keh chor aadmi ko band karega.

Khwab mein kawway ka bacha dekhna

Kawwa musafirat aur ahbaab se judayi ki daleel hai. Kawway ke bachay ki tabeer faqr o faqa, aur ahl o a’yal aur rishtedaro se doori ki alamat hai.

Faqr o faqa aur musafir shaks ka khwab mein isay dekhna un masaib se khulasi paane ki alamat aur apne ahl o ayal ke sath ek jaa hojane ki daleel hai.

Isliye ke kawwa apne bachay ko andon se nikalte hi juda kardeta hai. Aur ALLAH ta’ala uski ghiza ke liye bhej deta hai. Aur yeh rizq uske badan par baal nikalne tak milta rehta hai. Jab baal nikalte hain, toh usko phir apne sath mila leta hai yahan tak keh udhne ke qabil hojayein.

Khwab mein kawwa ban jana

Jo kawwa ban gaya, usay haram maal hasil hoga. Kawwa nahusat hai.

Khwab mein kawway se baatein karna

Jo dekhe keh koi kawwa uske saath baatein karta hai toh usay fasiq ladka milega. Imam Ibn e Sirin farmate hain keh balke woh shadeed gam mein mubtala hoga aur phir woh gam door hoga.

Khwab mein kawway ka ghosht khana

Jo dekhe keh kawway ka ghosht khata hai toh woh choron se maal lega.

Khwab mein kawway ka usko zakhmi karna

Jo kawway ko dekhe keh usne usko zakhmi kiya hai toh woh sakht sardi mein halak hoga aur woh takleef mein mubtala hoga.

Khwab mein kawway ka diya jana

Khwab mein jise kawwa diya gaya ho usay khushi hasil hogi. Siyah, safed daaghon wala kawwa darazi e umar ki daleel hai, kyunke us kawway ki umar taweel hoti hai.

Khwab mein kawway ka khana e kaba par girna

Jo khwab mein kawwa dekhe keh khana e kaaba par aa gira hai toh yeh fasiq aadmi hai jo kisi shareef aurat se shadi karega.

Khwab mein kawwa paida hona

Jo dekhe keh uske haan siyah safed daaghon wala kawwa paida huwa hai, yeh uske aankhon ki thandak hai.

Khwab mein ghar mein kawway dekhna

Jo apne ghar mein kawway dekhe toh ise aakhir umar tak daulat wa izzat hasil hogi. Aur kawwa fasiq kaazib aadmi hai, jo apne ghar mein kawwa dekhe toh us jagah mein fasiq insan maujood hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.