Khwab Mein Shaitan Ko Dekhna

Khwab Mein Shaitan Ko Dekhna

Khwab mein shaitan ko daikhne ki tabeer

Khwab mein Shaitan ka dekhna sahu wa gaflat par dalalat karta hai. Ek aadmi ne ek din Hazrat Hasan Reh’matullahi a’laih se kaha keh Aye Abu Saeed Kya Iblees sota hai? Toh aap muskuraye aur farmaya keh agar sojaye toh hamein bohat badi rahat mil jati.

Khwab mein shaitan ka dekhna bida’ti aalim par daleel hai ya tarq namaz, lootne, uchakne, gunahon ke karne par dalalat karta hai. Isi tarah Iblees ka khwab mein dekhna dhoka, fareb, sihr, jadu, hasad, zaujain ke darmiyan judayi par daleel hai. Aur kabhi iska dekhna murtad hone par daleel hota hai. Isliye keh woh Iblees Allah ta’ala ki ibadat karne wala tha phir hukum a’dooli ki wajeh se mardood aur malo’on hogaya. Ek tabeer iski kafir badshah bhi hai jo jhagde aur lashkar tayyar karne wala hi.

Khwab mein shaitan ko dekhna kaisa hai?

Imam Jafar Sadiq ne farmaya hai keh khwab mein shaitan ko dekhna 6 wajeh par hai.

  1. Dushman ko dekhna
  2. Fasad
  3. Shahwat, musibat aur khwaish e nafs
  4. Ta’a-at se door hona
  5. Khair aur sulah se doori talash karna
  6. Haram cheezein

Khwab mein shaitan banna

Agar koi insan dekhe keh woh Shaitan bana hai toh ya toh iski binayi ko nuqsan pohunchega ya phir woh murtad hoga. Aur ya woh murda hokar zindagi guzarega aur maghmoom hokar marjayega. Aur ise maal wa aulad ata ki jayegi. Aur makr o fareb se apne dushmanon par ghalib aayega. Aur agar mamlukat ka ahl hoga toh badshah banega. Lekin logon ko neki se mana karega aur burayi ki dawat dega.

Aur jo dekhe keh goya usne Iblees ko qatal kiya hai toh woh kisi dhokebaaz se dhoka karega. Agar woh Saleh aur paakdaman ho toh ALLAH ta’ala ke hukm se na-ummeed hoga.

Khwab mein shaitan se ladna

Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh shaitan khwab mein bada dushman, makkar aur farebi shaks hai. Aur agar dekhe keh shaitan isko waswase dalta hai daleel hai keh nalayaq baaton se tauba kare. Take dushman ispar kamyab na hosake. Aur agar dekhe keh shaitaan ke saath lada hai aur maghloob karliya hai daleel hai keh iska deen duust hoga. Aur agar iske khilaf hai toh zaeef deen ki daleel hai.

Khwab mein shaitan ko khush dekhna

Hazrat Ibrahim Kirmani ne farmaya hai keh agar shaitan ko khwab mein khush dekhe daleel hai keh Sahib e khwab hirs aur shahwat mein mashgool hoga. Aur agar shaitan ko gamnaak dekhe daleel hai keh ibadat aur deen ki durusti mein mashgool hoga. Aur agar dekhe keh shaitan ne iske jism se kapda utara hai agar sahib e khwab haakim hai toh hukumat se mazool hoga. Aur agar yeh khwab koi dihati dekhe toh daleel hai keh isko nuqsan pohunchega.

Khwab mein shaitan ka peeche padna

Hazrat Jabir Maghrabi a’laihirrehma ne farmaya hai keh agar dekhe keh shaitan iske peeche pada hai, daleel hai keh shaitan ispar fatah payega. Agar dekhe keh woh shaitan ke haath mein qaid huwa hai aur isko legaya hai daleel hai keh ruswayi mein mashoor hoga. Agar dekhe keh shaitan ke saath sohbat ki hai daleel hai keh bohat bada gunah karega.

Khwab mein shaitan se baat karna

Agar dekhe keh shaitan ke saath baat cheet ki hai, daleel hai keh dushman se baat karega magar usay is baat ki qudrat na hogi aur Haq ta’ala inki murad poori karega.

Khwab mein shaitan ke saath khana peena

Hazrat Ismaeel Asha’th ne farmaya hai agar khwab mein dekhe keh isne shaitan ke saath khana khaya aur pani piya hai daleel hai keh badkari aur fasad ke raaste par aayega aur shaitan ki tabedari karega. Aur agar iske khilaf dekhe daleel hai keh khair wa Sulah ke kaam par hoga aur deen ki raah par qinaa’t karega. Aur agar dekhe keh usne shaitan ko pakda hai ya uske pait mein chala gaya hai daleel hai keh raah e fasad se door hoga aur tauba karke ibadat mein mashghool hoga.

Khwab mein shaitan ka chuna

Khwab mein dekha keh kisi shaitan ne isay chuwa hai halankeh woh khwab mein zikrullah bhi kar raha tha toh yeh alamat hai keh us shaks ke dushman bohat saare hain jo gumrah karna chahte hain aur halak karna chahte hain magar in kaamon ki woh dushman istita’at nahi rakhte.

Khwab mein shaitan ka itteba karna

Jis shaks ne dekha keh shaitan iski itteba kar raha hai toh daleel hai keh us shaks ka dushman iski itteba karega, dhoka dega aur gumrah karega. Aur isko iske mansab, miras e ilmi se gira dega. [… To be continued Kos7]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.