Khwab Mein Aata Dekhna

Khwab Mein Aata Dekhna

Khwab mein aata dekhna kaisa hai?

Khwab mein bila shuba gandhum ka aata rizq, chawal ka aata nemat aur safed aata jawan kuwari aurat ke liye barabar ka zauj hai. Aata kabhi aalim e jaleel, safar wa maal, mazboot tadad, mustahkam qila, deen wa hidayat aur amraaz se shifayabi ki daleel hota hai.

Gandhum ke siwa har cheez ka aata amraz se shifayabi, tandrusti ki alamat hai. Aur aate ka khana faqr wa ihtiyaj hai. Aur kabhi gandhum ka aata jama shuda maal wa a’yal hai.

Khwab mein aata gundna

Aate ka gundna aqraba ki taraf safar ki alamat hai ya iske gharkoi mehman aane ki. Jo shaks dekhe keh woh jau ka aata gundta hai toh woh mard e momin hoga, sahib e iman hone ki alamat hai. Aur ise dushmanon par galba wa hukumat hasil hogi, wilayat milegi.

Khwab mein aata bechne wale ko dekhna

Khwab mein aata dekhna maal aur nemat e halal ki daleel hai jo begair ranj ke hasil ho. Aata farosh ko dekhna maujuda rizq, zahoore haq aur mushaqqat ke baad rahat ki daleel hai.

Hazrat Daniyal A’laihissalam ne farmaya hai keh agar dekhe keh aata barf ki manind hawa se aata hai toh is amr ki daleel hai keh usi qadar khwab mein dekhne wale ko maal aur nemat e halal hasil hogi jahan se ummeed nahi hai.

Hazrat Jabir Maghrabi Reh’matullahi a’laih ne farmaya keh khwab mein apne aapko aata baichte huwe daikhe apne deen ko dunya ke badle farokht karne ki daleel hai.

Khwab mein jau ka aata dekhna

Hazrat Ibn e Sireen alaihirrehma ne farmaya hai keh jau ka aata ki tabeer deen hai. Aur aata ki tabeer maal wa daulat hai jo tijarat se hasil hogi aur bohat faida hoga. Aur baajre ka aata thode maal ki daleel hai.

Khwab mein aata channe wala dekhna

Hazrat Kirmani ne farmaya keh khwab mein aata channe wala ek aurat hai jo fazool aur khaami karti hai. Agar aata channe wale ne bohat aata liya ya isko kisine diya toh daleel hai keh aurat ya khadin jaisa keh bayan kiya gaya, iska dost hoga. Baaz tabireen karne wale kehte hain keh neik aadmi hai jo iski khidmat mein muqeem hoga aur dost hojayega.

Hazrat Jafar Sadiq ne farmaya hai keh aata channe wala 4 qism par hai.

  1. Neil aadmi
  2. Fuzool aurat
  3. Khadim
  4. Thoda nafa

Khwab mein aata gundne wala

Khwab mein aata gundne wale ko dekhna rizq aur faahi kamom mein mashgooliyat hai. Ya aise badshah ki khidmatguzari ki daleel hai jo apni zuban aur haath se logon ki madad karta hai aur log bhi isse mohabbat karte hain.

Khwab mein gunda huwa aata dekhna

Khwab mein gunda huwa aata kaamon ke hone, rahat ke qareeb aane aur qaidi ke liye qaid se rihayi ya hamal ki paidaish ki alamat hai. Gunda huwa aata woh maal hai jo insanon ko hasil hota hai. Ghar mein gunda huwa aata dekhna maal e tijarat se faida hasil karne ki daleel hai. Agar gunda huwa aata khameera aur tarsh ho toh tijarat mein khasara ki alamat hai. Tang jagah mein aata gundna lawaTat karne ki daleel hai. Kushada makan mein aata gundna shadi karna hai. Kyunke Allah ta’ala ne halal mahal ko tang rakha hai. Aate ka khameera hona maal ki tangi ki daleel hai.

Khwab mein bajra ka aata dekhna

Iski tabeer aisa maal hai jisko dosre amwaal ke saath milaya gaya ho. Isi tarah dosre daanon ki bhi yehi tabeer hai. Aur baaz ulama ki raaye hai keh bajra maal ke khatime ki alamat hai. Albatta un logon ke liye iski tabeer achi hai jinke karobar aag se mutalliq hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.