Contents
Khwab mein anda dekhna kaisa hai?
Khwab mein anda kisi jagah mein ya bartan mein dekhe toh yeh auraton ya bandiyon par daleel hai. Aur basa auqat anday dekhna sona, chandi ki daleel hota hai. Anday ki safedi chandi ki aur iski zardi sone ki alamat hai. Aur kabhi anday dekhna aulad, wa azwaaj aur bandiyon ki daleel hota hai. Aur kabhi qabron ki alamat hota hai. Aur kabhi anday ka dekhna ahl wa ayal a’zeez wa aqarib aur dost wa ahbab ke jama hone ki daleel hota hai aur baaz auqat dirahim wa dinaray aur isko zakheera karne ki daleel hota hai. Agar dekhe keh ek jagah anday yun jalaye ja rahe hain jaise kooda karkat jalaya jata hai toh yeh us makan ki auraton ke qaidi hone ki daleel hai.
Khwab mein murghi ka anda dena
Jo khwab mein dekhe keh uski murghi ne anda diya hai toh iske han aulad hogi. Agar khwab mein apne haath mein anday dekhe toh iski biwi murda aurat ki tarah subah karegi. Agar dekhe keh uski biwi ne anda diya hai toh woh kafir beta janegi.
Agar kisi ne murghe ke neeche anday ya chuzay rakh rakh diye toh tabeer yeh hai keh wahan aisa ustaadh aayega jo bachon ko nikalega.
Khwab mein kacha anda khane ki tabeer
Agar dekhe keh usne kacha anda khaya hai toh woh maal e haram khayega, ya zina karega ya isko gum wa pareshani lahaq hogi.
Khwab mein anday se chuza nikalna
Agar dekhe keh murghi ke neeche anday rakhe hain aur isse chuze nikale hain toh dushwar amr aasan hoga aur mumkin banega, aur iske han momin ladka paida hoga. Aur kabhi is khwab ki tabeer chujon ki tadad ke mutabiq aulad hone se hoti hai.
Kisi ne dekha keh usne anday dene wali murghi ko apne baghal mein le liya aur usne chuza diya toh tabeer yeh hai keh kisi mayyit ke muamle mein isko takleef denge aur iske han ek momin bacha paida hoga, balke ek ek chuze ke badle ek ek bacha paida hoga.
Khwab mein anday ko marna
Agar khwab mein anday par zarb lagayi hai aur iski biwi hamla ho toh woh kisi bandi se nikah karne ka ya kisi ladki ka kuwarpan khatam karne ka irada karega magar na karsakega. Agar dekhe keh uske paas bohat se anday hain toh iske maal wa mataa’ ke fasad ka andesha hai.
Agar kisi ne anday ke chilkon ko ronda aur isse anda nikal aaya toh tabeer yeh hai keh sahib e khwab apni baandi se hambistar hoga aur isse bachi paida hogi.
Khwab mein ubla anda dekhna
Agar khwab mein dekhe keh uske haath mein ubla huwa anda hai toh iska dushwar aur bigda kaam sawarega. Aur phir woh is kaam ke sawarne se maal wa daulat hasil karega. Agar khwab mein us anday ko ek taraf hataya hai toh woh aurat ka maal khayega ya isme israaf karega. Agar us anday ko khaya hai toh woh maaldar aurat se nikah karega
Jo dekhe keh woh anday ke chilke khata hai toh woh kafan chor aadmi hai.
Kisi ne dekha keh woh paka huwa anda chil raha hai toh yeh maal milne ki daleel hai.
Khwab mein anday dekhne ki tabeer
Agar kuwara shaks bohat se anday dekhe toh yeh iski shadi ki alamat hai. Aur shadishuda dekhe toh aulad ki nishani hai keh iske bohat aulad honge. Aur chote anday dekhna betiyon ki aur bade anday dekhna beton ki nishani hai. Kisi ne khwab mein dekha keh uske paas bohat se anday hain toh yeh aise maal e kaseer ki bhi alamat hai jo maa’raz khatar mein ho.
Totay (Parrot) ka anda dekhna khubsurat bandi par dalalat karta hai. Aur saras (koonj, crane) ke anday dekhna miskeen aulad ki alamat hai. Aur batakh ka anda taweel mein darwaish aur bechara farzand hai aur chidiya ka anda khushi par daleel hai.
Khwab mein anda dekhne ki tabeer Hazrat Daniyal se
Hazrat Daniyal A’laihissalam ne farmaya hai khwab mein anda kaneez par daleel hai. Agar khwab mein dekhe keh murghi ne iske samne anda diya hai aur isko maloom nahi hai keh kaisa hai daleel hai keh aurat karega aur muddat tak is aurat ke saath rahega.
Aur agar dekhe keh paka huwa anda khata hai toh mushaqqat se maal hasil karega. Aur agar dekhe keh neem pukhta anda khaya hai toh dalee hai keh maal e haram khayega aur isko ranj wa gam pohunchega. Aur agar dekhe keh chilke samait anda khaya hai daleel hai keh murdon ka kafan churayega.
Khwab mein anda dena
Hazrat Ibrahim Kirmani Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar dekhe keh khud anda diya hai, daleel hai keh aurat ko bohat chahega aur jimaa par harees hoga.
Aur agar dekhe keh andon par parindon ki tarah baitha hai daleel hai keh auraton ke paas baithega aur faida payega.
Aur agar dekhe keh anda murghi ke neeche rakha hai aur murghi ne isko bahar daal diya hai daleel hai keh iska mara huwa kaam zinda hoga. Aur baaz ahle tabeer ne bayan kiya hai keh iske yahan ba-imaan ladka aayega.
Khwab mein totay anday dekhna
Aur agar dekhe keh anda toot gaya hai daleel hai keh iski ladki jawan hogayi hai.
Jo khwab mein dekhe keh usko anda diya gaya hai toh iske han shareef ladka paida hoga. Agar woh anda toot gaya hai toh iska ladka faut hoga.
Agar kisi ne anday todkar isko de diya toh daleel hai iski beti ka koi kuwarpan khatam karega.






I’ve read some good stuff here. Definitely worth bookmarking for revisiting.
I surprise how much effort you put to create such a great informative website about ‘khwabon ki tabeer’.
Really a great addition. I have read this marvelous post. Thanks for sharing information about ‘khawabon ki tabeer
‘.
I really like that. Thanks so lot for your convene.