Contents
Khwab mein Anjeer dekhne ki tabeer
Baaz kehte hain keh anjeer ka dekhna Saliheen aur ache logon ki daleel hai. Neiz rizq wa sahulat aur kamil sarwar wa khushi aur ba faraghat nemat ki daleel hai. Safed anjeer siya anjeer se behtar hai.
Aur agar anjeer be-waqt be mausam mein dekhe toh yeh hasad ki daleel hai jo khwab wale ko paish aayega. Aur kabhi anjeer ka dekhna qasam ki daleel hota hai. Chunanche agar anjeer siyah rang ki hai toh jhoti qasam ki daleel hai. Aur kabhi anjeer fikr o gam aur takleef wa pareshani aur aala jagah se adna jagah par jane ki daleel hoti hai. Aur kabhi nadamat wa sharmindagiki daleel hoti hai jaisa keh anjeer khana nadamat ki daleel hota hai.
Khwab mein Anjeer milna
Khwab mein jisko anjeer hasil huwi ho toh yeh khush haali aur kaseer maal wa daulat ki daleel hai. Khawab mein anjeer ka darakhkt dekhna ghani aur maaldar aadmi ki daleel hai jiske paas dushmane Islam aakar rehte hain. Isliye keh anjeer ka darakht saanpo ka thikana hai, phalon mein koi phal iska muqabala nahi karsakta.
Khwab mein Anjeer khane ki tabeer
Jo dekhe keh woh anjeer khata hai toh iski nasal zyada hogi aur baaz kehte hain keh anjeer ka dekhna Iraq ki janib se hasil hone wala Rizq hai aur is jama shuda maal ki nishani hai jisse iska saheb bila mushaqqat asaaish hasil karta hai. Aur thodi anjeer khana ba-kifayat rizq ki daleel hai. Hazrat Kirmani ne farmaya keh khwab mein anjeer e zard dekhna beemari ki daleel hai. Aur anjeer siyah gam hai. Aur anjeer sabz waqt par khana jiska maza shireen ho nuqsan nahi deta.
Aur baaz kehte hain keh anjeer ka phal aur iske patte ranj wa gam aur nadamat ki alamat hain. Lihaza jo anjeer khaye woh abhi ya aainda kisi pareshani mein mubtala hoga.





