Khwab Mein Murda Dekhna

Khwab Mein Murda Dekhna

Khwab Mein Murde Ko Dekhne Ki Tabeer

Hazrat Ibrahim Kirmani Rehmatullahi a’laih ne farmaya hai agar dekhe keh murda zinda huwa hai daleel hai keh iska haal neik hoga. Khaskar agar murde ko khush aur kushada ru dekhe. Aur agar zinda ko murda dekhe daleel hai keh iska haal bad hoga. Khaskar agar murda tarsh ru hai. Aur agar koi apne murda baap ko zinda dekhe aur khush aur pakiza libas mein dekhe daleel hai keh daulat aur iqbal payega. Aur iska kaam neik hoga. Aur agar maa ko zinda dekhe daleel hai keh gam se nijat payega. Aur agar aurat dekhe keh uska farzand zinda huwa hai daleel hai keh iska ghayib safar se aayega.

Aur agar begane murde ko zinda dekhe  daleel hai keh us murde ke khushiyon ka haal neik hoga. Aur agar dekhe keh zinda margaya hai iski tabeer awwal ke khilaf hai. Aur agar dekhe keh usne murde ko zinda kiya hai daleel hai keh koi kafir iske haath se muslaman hoga.

Hazrat Jabir Maghrabi Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar koi apne maa baap ko tarsh ru, gamgheen aur maile libas mein dekhe daleel hai keh uski daulat aur iqbal mein nuqsan hoga. Kyunkeh khuda ta’ala ke ghar mein hai. Jis sifat par murde ko khwab mein dekhega toh zinda ke ahwaal par daleel hai.

Agar koi apne maa baap ko ya maa baap donon ko kushada ru aur pakiza libas mein dekhe daleel hai keh sharf, buzurgi, aur martaba payega. Aur agar iske khilaf dekhe toh iski taweel bhi khilaf hai.

Hazrat Ibrahim Kirmani Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai Agar kisi ne murde ko khwab mein dekha aur pucha keh tu margaya tha? Usne kaha nahi mai toh zinda hun daleel hai keh us jahan mein murde ki baat achi hai. Aur Haq ta’ala isse khushnood hai. Farmane Haq Ta’ala hai : Aur jo log Allah ta’ala ki raah mein qatal huwe hain inko  murda khayal na karo. Balke woh apne rab ke paas zinda hain. Rizq diye jate hain aur jo kuch inko Allah ta’ala ne apne fazal se diya hai ispar khush hain.

Yeh ayat is baat par daleel hai keh murda jo kuch kehta hai raast kehta hai. Aur agar dekhe keh murda shaad aur khush apne ghar mein aakar baith gaya hai daleel hai keh sadqa aur dua isko pohunchti hai.

Hazrat Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar dekhe keh murde ne iske apne ghar mein god mein pakda hai daleel hai keh tandrust aur salamat hoga. Aur iqbal wa daulat payega. Aur agar woh murda iske khushiyon se hai toh dua aur sadqa ki isse ummeed rakhta hai. Aur agar koi murde ko apne ahle bait mein se khush dekhe daleel hai keh uske ahle bait ka haal shaad aur khush hoga. Aur agar murde ko tarsh ru aur gamgheen dekhe toh iski taweel awwal ke khilaf hai. Aur agar dekhe keh uske ahle bait mein se koi murda ispar kooda hai jhagda karta hai ya isse muh phera hai daleel hai keh is murde ne kuch wasiyyat ki hogi aur isne ise poora na kiya hoga.

Agar dekhe keh murda shaad aur khandah iske paas aaya hai, daleel hai keh isko dua aur sadqa pohuncha hai. Aur agar iske khilaf dekhe daleel hai keh iske haq mein taqseer ki hogi. Aur agar dekhe keh murda isko neik baat kehta hai daleel hai keh iska haal neik hoga.

Aur agar isko buri baat kahe ya isko wasiyyat kare toh iski taweel bad hai. Aur agar murda isse ilm wa hiqmat ki baat kare ya isko waaz aur nasihat kare toh Sahib e Khwab ki diyanat aur Sulah deen par daleel hai.

Aur agar murde ko dunyawi zindagi se behtar khush haal aur pakiza libas mein dekhe daleel hai keh iska khatima khair aur sa’adat se hoga. Aur agar iske khilaf dekhe daleel hai keh murda a’zaab e Haq se aman mein hai aur iski a’aqibat mehmood hai.

Hazrat Hafiz mu’abbar Rh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar dekhe keh murde ne iski gardan mein haath dala hai aur isko god mein liya hai daleel hai keh iski umar daraz hogi. Aur agar dekhe keh murde ne tawajjuh nahi ki hai aur na koi baat ki hai daleel hai keh Sahib e Khwab iske liye sadqa de aur isko neik dua se yaad kare.

Aur agar murde ko tarsh ru aur gamnaak dekhe daleel hai keh a’aSi aur gunahgaar hoga. Aur agar murda hansa aur phir roya hai daleel hai keh woh murda musalman nahi mara hai. Agar murde ko siya ru dekhe daleel hai keh kufr mein mara hai. Farmane haq ta’ala hai Lekin jin logon ke chehre siya hain. Kya tumne imaan ke baad kufr kiya tha toh kufr ki wajeh se a’zaab ko jhelo.

Aur agar murde ko a’ajiz aur begair libas ke dekhe daleel hai keh murde ka haal bad hai.

Hazrat Ismaeel Asha’th reh’matullahi a’laih ne farmaya hai Agar dekhe keh murda namaz mein hai daleel hai keh us murde ne zindagi mein bohat Istighfaar ki hai. Aur ahle tabeer bayan karte hain ke murde ke liye bajaye Ta’at ke sawab hai daleel hai keh Sahib e khwab Ta’at aur namaz mein sust hai.

Aur agar murde ko dekhe keh jis jagah zindagi mein namaz padhta tha usi jagah namaz padh raha hai toh murde ke deen paak aur zindagi ki durusti aaqibat par daleel hai.

Khwab Mein Murda Ka Koi Cheez Dena

Hazrat Daniyal A’laihissalam ne farmaya hai, Agar dekhe keh murda isko koi dunya ka saman deta hai daleel hai keh wahan se kisi cheez ke pohunchne ki ummeed nahi rakhta hai.

Aur agar dekhe keh murde ne isko koi cheez khane ya peene ki di hai aur usne khayi hai daleel hai keh halal ki rozi payega. Aur agar na khaye toh iski taweel khilaf hai.

Aur agar dekhe keh murde ne isko koi cheez khane ya peene ki di hai aur usne khayi hai. Daleel hai keh halal ki rozi payega aur agar na khaye toh iski taweel khilaf hai.

Aur agar dekhe keh murde ne apne kapdon mein se isko kuch diya hai aur usne pehena hai daleel hai keh isko maal aur jaan se gam pohunchega. Aur agar kapda nahi pehena hai toh daleel hai ekh Sahib e Khwab is dunya se rihlat karega.

Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar dekhe keh murde ne isko do kapde diye hain aur usne pehenkar utare hain aur phir logo ko de diye hain daleel hai keh iska nuqsan na hoga. Balke iska maal zyada hoga.

Aur agar dekhe keh apna kapda kisiko diya hai aur kaha hai keh kapda si ya jala ya nigah mein rakh daleel hai keh usko gam pohunchega. Aur agar murde ne usko aariyatan kapda diya hai aur phir isse talab kiya hai daleel hai keh us murde ka bura kaam hoga. Aur agar murde ne isko purana kapda diya hai Sahib e Khwab darwaish hojayega.

Agar murde ne isko Quran Majeed ya Fiqa waghaira ki kitab di hai daleel hai keh khairat aur ibadaat ki taufeeq payega. Aur agar murda kapde baichta hai daleel hai keh woh kapda gira hoga. Aur agar kuch murde ko bakhsha hai aur usne qubool nahi kiya hai daleel hai keh usko zarar aur nuqsan pohunchega.

Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar koi murde ko bad haal aur rota huwa dekhe daleel hai keh dunya mein jo usne bura kaam kiya hai uske mutalliq isse suwal kiya jayega. Aur agar murde ko beemar dekhe daleel hai keh usse deen aur dunya ka suwal hoga. Aur baaz ahle tabeer ne bayan kiya hai keh jo usne maa baap ke haq mein qusoor kiya hai uska suwal hoga.

Aur agar murda daanto ki dard se rota hai daleel hai keh usse gheebat ke mutalliq suwal hoga. Aur agar aankh ke dard se rota hai daleel hai keh jo usne dunya mein logon ke ayal par nazar e bad ki hai usse mutalliq isse suwal hoga. Aur agar dard e kaan se rota hai toh buri baatein jo usne suni hain unke mutalliq suwal hoga. Aur agar haath ke dard se rota hai daleel hai keh jo kuch usne auraton ke haq mein kiya hai uska usse suwal hoga. Aur agar murda dard e pehelu se rota hai daleel hai keh usse maa baap ke haq ke mutalliq suwal hoga. Aur agar A’zu a tanasul ki dard se rota hai daleel hai keh dunya mein usne jo zina aur fasad kiya hai uske mutalliq usse suwal hoga. Aur agar sureen ke dard se rota hai daleel hai keh dunya mein jo kuch usne safar aur hizr mein khwaishon ke haq mein kiya hai uske mutalliq usse suwal hoga. Agar murda dard e paon aur pindali ke dard ki wajeh se rota hai daleel hai keh jo kuch usne dunya mein kiya hai uske mutalliq usse suwal hoga.

Khwab Mein Murda Se Jimaa Karna

Hazrat Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh asal khwab ki yeh hai keh agar murde se jimaa kare aur aab e mani isse nahi nikla hai toh taweel iski durust aur raast aayegi. Aur agar ghusl wajib huwa hai toh bekar hai. Aur agar dekhe keh murde se jimaa kiya hai keh jahan se ummeed nahi rakhta hai wahan se ummeed poori hogi. Aur agar apni behan ya murda maa se jimaa kiya hai daleel hai keh us murde se isko kuch milega.

Aur agar murde ko shehwat se bosa diya hai, daleel hai keh aurat karega. Aur murde ke liye khair karega ya isko dua se yaad karega. Aur agar murde se jimaa kiya hai daleel hai keh murde ke maal se isko kuch milega.

Hazrat Ibrahim Kirmani Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh khwab mein murde ke peeche jana agar murda musleh aur paarsa hai toh iski raah ikhtiyaar karega. Aur agar faasiq hai toh uski raah aur aadat pakdega. Agar na jaane keh murda mufsid hai ya muslih hai aur iske peeche gaya hai daleel hai keh beemar hoga aur aakhirkaar shifa payega.

Hazrat Jabir Maghrabi ne farmaya hai agar dekhe keh us murde ne aawaaz ka jawab diya hai aur usko nahi dekha hai daleel hai keh dunya se jaldi safar karega. Aur agar dekhe keh woh murde ke peeche kisi namaloom makan mein gaya hai daleel hai keh marega. Aur agar usne murde ko kaha keh fulan waqt mere paas aana aur usne kaha keh aaonga. Agar murda Musleh aur raast goh hai toh usi waqt jab kaha hai marega.

Aur agar dekhe keh murde ne isko darakar apne paas bulaya hai aur usko mana nahi karsaka hai toh uski wafat par daleel hai. Aur agar dekhe keh usne murde ko apne paas bulaya hai aur khud uske ghar nahi gaya hai daleel hai keh beemar hoga aur shifa payega. Aur agar dekhe keh murda isko bazar mein legaya hai daleel hai keh iska kasab aur ma’ash neik hoga.

Hazrat Ismaeel Asha’th Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai agar koi apne aap ko murdon ke darmiyan dekhe daleel hai keh neik baaton ka amr karega aur buri baaton se rukega. Aur log iski baat na sunenge. Aur agar dekhe keh uski murday ke saath dosti hogayi hai daleel hai keh safar ko jayega. Aur safar mein daulat, Iabal, shadi aur khushi payega.

Aur agar dekhe keh woh murdon ke darmiyan hai  chunanche iske siwa aur koi bhi zindon mein se inme na tha daleel hai keh fasideen ke giroh mein baithega. Aur agar dekhe keh woh bhi inki tarah murda hai daleel hai keh uske deen mein bhi fasad hai aur agar daikhe keh murdon ki jamaat khana khati hai daleel hai keh is mulk mein giran hoga.

Hazrat Hafiz Mua’bar ne farmaya hai Agar koi dekhe keh woh murde ke kisi hisse ko khata hai daleel hai keh zameen se khazana payega. Aur agar dekhe keh na maloom murdon ko talwar se maarta hai. Agar Musleh hai toh log iske haath par tauba karenge. Aur bure kaamon se rukenge. Aur baaz ahle tabeer ne bayan kiya hai keh logon se behas aur munazara karke sabko dalail se qaail karega.

Hazrat Jafar Sadiq ne farmaya hai agar dekhe keh murda iski rehbari karta hai. Daleel hai keh shariat ka raasta payega. Aur agar dekhe keh murda apne aap ko dhota hai daleel hai keh uske khwaish usse nijat payenge. Aur agar dekhe keh usne murde ko zameen par ghaseeta hai daleel hai keh haram ki kamayi karega aur bohat sa maal payega. Aur agar dekhe keh woh murdon ko zinda karta hai daleel hai keh chamda rangne walon ka kaam karega. Aur agar dekhe keh murde ke saath ek ghar mein soya hai daleel hai keh uski umar daraz hogi.

Khwab Mein Murda Ka Libas

Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai Agar dekhe keh murda ne sabz libas pehna huwa hai daleel hai keh dunya se shaheed gaya hai. Aur agar safed libas mein dekhe daleel hai keh uska darja neik hai. Aur agar siya libas mein dekhe daleel hai keh uska haal bad hai aur ahle dozakh ka libas siyah hai. Aur agar surkh libas mein dekhe daleel hai keh bad hai. Aur agar zard ya neele libas mein dekhe daleel hai keh Sahib e Khwab gam aur musibat mein mubtala hoga. Aur agar naqshdaar libas mein dekhe daleel hai keh Sahib e khwab iske saath dunya mein jhagadta hoga. Aur haq bajanib murda hoga. Aur agar iske khilaf dekhe toh haq bajanib zihda hai. Aur baaz ahle tabeer ne bayan kiya hai Agar zinda shaks khwab mein murde ko kapde pehanaye daleel hai keh uski maut qareeb hai.

19 thoughts on “Khwab Mein Murda Dekhna

  1. Mein ny dekha
    K meri ruh nikal kar ek naey jisam mein daakhil ho gyi hai aor mein us jisam k sath masjid bhi gya lekin namaz parhnay lgta hun to namaz ka time nikal jata hai to koi mujhy btata hai k azaan ki awaz he nai aie aor namaaz ka time khatam ho gya…. phr mein apny jootay uthaa k side py rakhta hun aor dobara wizu karny lgta hun…. jab wuzu mukammal hony lgta hai to phir se toot jata hai…. phir dekhta hun k mere jisam py qameez b nahi hai….
    Phr jab ghusal krny k liye wuzu khanay se nikalta hun to samnay masjid k sehan mein Meri apni laash kafan mein lipti hui parhi hai…. or mujhy aesa lgta hai jese janazay k liye mera he intezar kiya ja raha hai…. aor mein apny puranay jisam ka janaza parh dene ka soch raha tha…. (mein khud zinda tha lekin ek.naey jisam.mein)
    Please is ki.tabeer bta dein

  2. Mein ne khwab mein apne murda baap ko dekha. Wo mujhay kehta hy keh apni dukan iss jaga se dosri jaga lay aur phir wo mujhay apni bus mein apne saath lay jaya hy. Bus mein kuch aur log bhi hotey hein. ( mera baap zindagi mein bus driver tha. )

      1. Khawab main Meri ami k bht pyary kapry dykhy hn aur Ami NY kaha h tm lylo many kaha nai Ami AP pehno many nai lyny

  3. Meri nani ke liye maghfirat ki dua kimye sub
    Hum 3 behnon ke khwab mai meri nani beemar ati hain.jesay woh wafaat panay se pehle theen iska kya matlab hua.baki sub ke khwab mai haal acha hi dikhta hai

  4. mare uncle ko mare abu na khwab ma daika hay ka abu us sa kah raha hay ka aon kahy chalty hay gomna tu uncle kahta hay ka nahi ma tu mar gaya hu kaisa ja sakta hu … pir abu kahta hay acha bs dua karna mare lia wltu wu kahta hay Allah bkhsh da bs apko Allah bakhsh da dua karta hay is kankya matlb

  5. Assalam o alekum mene khuwab me dkha ke mere rishte jo hona hai usme prshni arai hai aur mere jo sasur hai unka inteqal hogaya hai mere hone wale shohar ne mjhe cal karke bataya hai aur unka inteqal abhi hua hai 15 din pehle plz iski taber bataye ke agr kisi ka inteqal hojata hai aur dobara uska inteqal dlho to kya taber hai

  6. M ny khwab m aik lrki ko deikha jis k fout hony p hum sb ghr waly gye hain or us ko dfnane k liye ly jany sy phly safed dulhan ka libas pahnaya hai Plz mere khwab ki tabeer bta dein

  7. Assalam u alikum
    Meri wife pregnant h mene khwab me dekha k mera beta paida hua h lekn kuch hi der me wo sans ki takleef ki waja se mar gaya or ghr me sab ro rahe he phr meri ankh khul gai tu fajur ki azan ho rahi thi. baray mehrbani iski tabeer bayan karen.

  8. Meri mami wafat pachuki Hai ur Mai NY unko dekha Hai surah labas Mai jo k hubsurat Tha ur unca chehra Mai Saaf Tha ur Mai NY pocha k ap tu Mar ghi thi tu uno NY bola k Mai tu zinda hu ur sabzi wale dabe Mai ghost ko Kat rhi thi Jase Khana pakne kay liye karte Hai bataye plz

  9. Mere papa kuch din phle wafat pachuke hein , mere bhai ne unhein khwab me hajj ka libas phne dekha or sath joggers phne hue the or mere papa ne bhai se kaha k me to hajj krne gya hoon tumhara or tumhary maa ka visa bhi bhejoonga tum bhi ajana
    Plz btaein iski tabeer

  10. 6 month se jyada ho gaye mujhe khwab me anjane murde aur kabrishtan dikhte hain, apni kabr bhi dekh chuka hun, tabeer bataiye.
    plz

  11. Khwab me murde ka milna or murde ka khan k khtm ni dilaya mre kan me awaz ni pri apny ilan ni krwaya or phr khmoshi se moun dosri trf kr lia

  12. Mery husband ny khuwab dekha k unky walid jo k ek saal pehly fout ho gy hain wo unky sy baat kar rhy hain kisi bary sy pahar py khary ho k aur phr mery husband k marhoom abu achanak sy gir gy aur mar gy. Mery husband pareshan ho k unky pass jaty hain aur phr yad ata hai k abu tu pehly he fout ho gy thy. Jb unki ankh khuli tu tahajood ka time tha aur wo bht ghabraye howay thy plz tabeer bta den.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.