Khwab mein Joota Chappal Dekhna

Khwab mein Joota dekhnay ki tabeer

Khwab mein joota zauja, ghulam, suwari aur safar ki daleel hai. Baaz kehte hain keh joota bhai par dalalat karta hai.

Hazrat Jafar Sadiq (rehmatullahi a’laih) ne framaya keh khwab mein jootay ka dekhna 7 wajeh par hai:

  1. Aurat
  2. Khadim
  3. Kaneez
  4. Quwwat
  5. Mae’eshat
  6. Maal
  7. Safar

Aur khwab mein jootay banane wala shaks aisa hai jo meras ko taqseem karta hai.

Khwab mein mukhtalif joote dekhna

Aur aurat ka rang joote ke rang ki tarah hai.

khwab mein sabz joota dekhna

Agar joota sabz rang ka ho, toh aurat deendar aur neik hai.

khwab mein kala joota dekhna

Aur agar joota siyah rang ka ho toh woh aurat maaldar hai. Ya ladayi ki hai.

khwab mein golden joota dekhna

Agar joota zard rang ka ho, toh woh beemar hai.

khwab mein lal joota dekhna

Aur surkh rang ka ho toh woh aurat zeenat aur jamal wali hai. Yani khush baash aur aish pasand hogi.

khwab mein safed joota dekhna

Aur safed rang ka ho toh khubsurat aurat se nikah karega.

khwab mein chandi ka joota dekhna

Agar joota chandi ka ho toh aurat ghulami se aazaad aur khoobru hai.

khwab mein seesay ka joota dekhna

Agar joota seesay ka ho toh aurat zaeef aur kamzori wali hai.

khwab mein aag ka joota dekhna

Agar joota aag ka ho toh aurat zaban daraz hai.

khwab mein lakdi ka joota dekhna

Agar joota lakdi ka ho toh aurat munafiq aur khayanat gar hai.

khwab mein gaaye ki khaal ka joota dekhna

Agar joota gaaye ki khaal ka bana huwa ho toh woh aurat a’jmiyon mein se hai.

khwab mein ghode ki khaal ka joota dekhna

Agar ghode ki khaal ka ho toh woh aurat A’rab mein se hai.

khwab mein darindon ki khaal ka joota dekhna

Agar joota darindon ki khaal aur chamde ka ho toh aurat zaalim sultanat mein se hai.

Khwab mein pewand wala joota pehenna

Aur jo shaks khwab mein aisa joota pehene jisme pewand lage hon toh uski sahib e aulad aurat se shadi hogi. Jo khwab mein sirf ek jhoot mein chale, toh uski biwi se judayi hogi.

khwab mein naya joota dekhna

Hazrat Ibn e Sirin (Rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh khwab mein joota aurat hai. Agar dekhe keh usne naya joota pao mein dala hai, daleel hai keh aurat karega ya kaneez khareedega.

khwab mein purana joota dekhna

Khwab mein puranay jhoote ka dekhna naye jhoote se behtar hai.

khwab mein dosro ka joota pehenna

Agar kisi aur ka joota pao mein dala hai, daleel hai keh bewa aurat karega.

Khwab mein joota kho jana

Jo dekhe keh uske donon joote gum hogaye hain toh mumkin hai keh uski suwari chori hojaye.

Jo dekhe keh woh do jhooton mein chalta hai, phir ek jhoota paon se utar gaya hai toh bhai ya shareek se alahda hoga.

Jo dekhe keh uska joota pani mein gir gaya hai aur gum hogaya hai toh zauja wafat payegi.

Khwab mein joota Utarna

Aur jo dekhe keh usne apna joota utara hai toh use wilayat hasil hogi. Isliye keh ALLAH ta’ala ne farmaya, “Pas tum apni jutiyan utar daalo (kyunke) tum ek paak maidan yani Tuwa mein ho, jisse Musa a’laihissalam ko iske baad wilayat aur fira’un aur uski qaum ke khilaf nusrat wa madad hasil huwi thi.” #Surah Taha

khwab mein joota tootna ki tabeer

Agar jhoota pao se gira, toota ya zaaye hogaya toh gam, wa andwah aur behurmati par daleel hai.

Khwab mein joota chori hojana

Musibat o pareshani ki alamat hai.

Aurat ka Khwab mein joota dekhnay ki tabeer

Agar ghair shadi shuda aurat dekhe toh aram o rahat pane, ya naukarani rakhne ya safar karne ya shadi hone ki nishani hai. Aur shadi shuda aurat ke liye, maal o daulat milne ya izafa hone ki daleel hai.

Aurat ka Khwab mein joota khareedna

Naukarani khareedne, Ranj o gam door hone, aram o rahat paane ya izzat pane ki daleel hai.

Khwab mein Aurat ka joota Gum hona

Pareshani aur ranj o gam ki alamat hai.

One thought on “Khwab mein Joota Chappal Dekhna

  1. Khaub me ek ladka ladki ka ki sandal dekha bhot sare lakin sabse zyada white and light green color wali ko dekha /khaub me lock milla and keys bhi khulla yaa ni maloom

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.