Contents
Khwab mein neeche utarna
Agar dekhe khwab mein keh chat se zameen par utara hai toh woh parhezgaar hai. Aur apni parhezgari ki wajeh se hajat ko tarq karega.
Khwab mein upar se neeche girna
Agar dekhe keh woh buland jagah se past jagah par gira hai toh woh jis aadmi se pur ummeed tha usse na ummeed hoga.
Agar khwab mein kisi kichad ya ghade waghaira par phisla hai toh woh deeeni ya dunyawi amr mein zawaal pazeer hoga. Agar dekhe keh gaaye ya bakriyon ke paas aaya hai toh neik logon ki taraf mayil hoga.
Khwab mein seedhi utarna
Seedhi se utarna safar se wapasi ki daleel hai agar woh musafir hai. Aur agar raees hai toh apni riyasat (sardari) se utarega yani apne amal se ma’zool hoga. Agar woh Sahib e khwab sawar hai toh paa piyada chalega. Aur agar iski biwi beemar hai toh jaan bi-haq hogi.
Saheeh aur tandrust shaks ka seedhi se utarna uski sarkashi ya kafir hone ki alamat hai lekin jahan jahan utara hai woh jagah agar maqam e islaah hai masalan masjid, sar sabz khet, taza hawaon wali jagah toh kufr wa tughwaan se bach jane aur tauba ki saa’adat hasil hone ki alamat hai. Aur jis halat par hai usse utarne ki daleel hai. Makan e Salah ki bajaye kisi darawni jagah masalan sheron ke guchaar ya sanpon ke bilon ke qareeb utare dunwayi pareshani mein mubtala hone ki daleel hai.
Agar mareez dekhe keh woh seedhi se neeche maloom jagah par ya ahle khana ke paas utara hai toh woh beemari se shifayab hoga. Agar mareez ka seedhi se utarna na maloom maqam ki taraf ho jis maqam ko woh nahi janta ya murda logon ke paas ho jinhe woh janta hai toh iski tabeer bhi mazkoora tabeer ki tarah hai.
Aur agar woh gadhe mein ya gehre kuwein mein utarkar sher ke paas gaya jisne usko shikar kiya hai ya parinda ke paas jisne usko uchak liya toh yeh seedhi darasal uski umar ke ayyam hain. Seedhi agar kachi eenton ki ho toh woh neik Saleh shaks hai. Agar pakki eenton ki hai toh yeh makrooh amr hai.





