Khwab Mein Asman Dekhne Ki Tabeer
Asman ko khwab mein dekhna ispar hi yani “Asman” par hi dalalat karta hai. Pas jo asman se ya asman ki ek taraf se gira toh ALLAH ta’ala ki taraf se us girne wali cheez ki naZeer milegi. Makhlooq ke liye isme koi munasibat nahi hai masalan agar isme se gharon par aag gire toh logon ko beemariyan, chechak aur maut waghaira aayegi. Aur agar isse bazaron par aag waghaira gire toh bazar mein bikne wali cheezein kamyab aur mehangi hojayengi. Aur kaha gaya keh kheton, khilyanon ya godamon mein yeh aag gire toh saare paude aur nabataat jal jayenge. Aur inko sardi lagjayegi jisse woh kharab hojayenge.
Aur agar aasman se koi aisi cheez utari jo khush haali rizq aur maal par dalalat karti hai shahed, til, anjeer, jau waghaira toh is saal bohat faidamand barish hogi. Aur aasman se utarne wali cheez ko usse nafa hoga. Aur baaz dafa asman ka dekhna badshah ke jism aur iske zaat par bhi dalalat karta hai. Chunanche Asman se jo kuch utara ya isme jo kuch dekha gaya khair ho ya shar ho toh yeh badshah ke andar waqey hone wali alamat hai.
Aur baaz dafa inke mahel ya iske darul hukumat ya iske khaima ya dera par iske baitul maal par dalalat karta hai. Jisne khwab mein dekha keh woh seedhi ya kursi ke zariye Asman par chada toh woh badshah ke paas bulandi aur rifaat payega.
Agar dekhe keh woh seedhi ya rassi ke begair asman par pohuncha hai toh yeh use badshah ki taraf se shadeed khatra pohunchne ki taraf ishara hai. Aur woh badshah se milne mein ya apni ummedon ke baare mein bohat ghuroor mein padega. Aur agar iska khayal yeh tha keh upar jakar woh badshah ki baatein sunega toh woh badshah ki jasusi karega ya uske ghar ya baitul maal mein chori karega.
Aur agar woh Asman par pohunch gaya toh woh apne kaam mein inteha tak pohunchega. Agar woh zameen par laut aaya jis kaam mein woh dakhil huwa tha us se bach jayega. Aur aagr woh apni jagah se gira toh jitna woh gira unka kuch a’zu waghaira toota utna hi woh us kaam mein halakat mein padega jo uske supurd kiya gaya hai.
Aur agar Asman ki taraf pohunchne wala bedari mein beemar tha aur phir woh dobara zameen par na aaya toh yeh ittela hai woh apni beemari ki wajeh se marjayega aur uski rooh aise hi Asman ki taraf chali jayegi.
Aur agar woh dobara zameen par laut aaya toh iska marz inteha ko pohunchega. Aur woh apne ahle khana se mayoos hoga. Phir Allah ta’ala usko nijat dega In Sha Allah.
Lekin agar woh Asman se wapas aaya lekin kisi kuwein ya gade waghaira mein gir gaya aur wahan se dobara na nikla toh yeh bhi uski maut ki alamat hai. Aur goya woh kuwan ya gada uski qabar hai jisme woh lautne ke baad padega. Taham isme iski bahalate Islam maut ki khushkhabri hai is liye keh kafiron ke liye Asman ke darwaze nahi khhulte aur na hi unki roohein wahan jati hai. Aur agar kisi ne dekha goya log Asman ke darwazon se teer barsa rahe hain toh agar wahan ta’oon ki kuch nishaniyan hain toh ike darwaze inke liye khul jayenge. Agar woh teer zakhmi kar rahe ho aur jisko bhi lagin uska khoon nikal raha ho toh woh badshah ki taraf se har ek ke liye uske hisse ke ba qadar ahkam aur farameen aane par dalalat karta hai. Aur agar unka maqsad aankhon aur makano ko nishana banana na ho toh yeh koi fitna ki alamat hai keh jisko teer lagenge usse halak hojayega. [To be continued kos19]




