Contents
Khwab Mein Angoor Dekhne Ki Tabeer
Khwab mein angoor kisi waseey zakheera shuda aur dair tak rehne wala rizq hai. Angoor ko iskay mausam mein dekhna dunyawi tarotazgi aur be mausam dekhna qabl az waqt khair ka husool hai ya phir isay qabl az waqt haram maal hasil hoga. Khwab mein angoor todna aurat se husool e maal hai. Khwab mein angoor ka gucha hazaar dirham hote hain. Siya angoor baqi na rehne wala rizq hai.
Baaz Hazrat farmate hain keh kam siya angoor kam gam ki aur zyada siya angoor zyada gam ki daleel hain. Angoor todna kam nafa hai. Agar koi dekhe keh usne angoor tode aur iski dandi pakdi aur angoor phaink diye toh biwi se jhagadne aur mushkil mein mubtala hone ki daleel hai. Mausami angoor aurat ki janib se nafa ki alamat hai.
Neiz is se murad ulfat, mohabbat aur Rizq e tayyib bhi hota hai. Kabhi khwab mein angoor khana sharab peene ki dalee hoti hai jaisa keh sharab peene ki tabeer angoor khana hai. Kabhi angoor kisi sakhi aadmi se hasil hone wala rizq par bhi dalalat karte hain. Kabhi angoor se murad aib bhi hota hai. Siya angoor raat aur safed angoor din par dalalat karte hain.
Hazrat Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh Angoor siyah aur safed waqt par aur be waqt par khwab mein dekhna 3 wajeh par hai.
- Farzand neik
- Ilm faraiz
- Maal halal
Khwab Mein Angoor Khane Ki Tabeer
Hazrat Daniyal A’laihissalam ne farmaya hai keh mausam par khwab mein angoor e siya khana gam ki daleel hai. Aur be-waqt khauf aur taras hai. Ahle tabeer ne bayan kiya hai keh siya angoor ke har ek daane khaye huwe ke shumar par isko baid ya lakdiyan maarenge.
Aur angoor safed ka waqt par khana ummeed se badhkar dunya ki khair aur nemat hai. Aur be mausam khana daleel hai keh Sahib e Khwab ke muh se koi cheez nikalegi. Iski daleel maal ka kharch karna hai aur angoor surkh khane ki bhi yehi daleel hai.
Hazrat Ibn e Sireen Reh’matullahi a’liah ne farmaya hai keh khwab mein angoor safed mausam mein khana maal wa daulat ki daleel hai magar mehnat se milega. Aur angoor surkh mausam mein khana thode nafa ki daleel hai. Jis angoor ka chilka sakht hai isko khwab mein khana maal ki daleel hai jo mushkil se milega. Aur halke chilke wala angoor maal e halal ki daleel hai. Aur jis angoor ka pani siya hai maal e haram ki daleel hai. Aur jo angoor dekhne mein surkh hai izzat aur martaba ki daleel hai. Aur jo angoor dekhne mein siya hai, gam aur andwa ki daleel hai. Aur jo angoor shireen tar aur pakizatar hai maal wa jaah aur ziyadati izzat ki daleel hai.
Hazrat Jabir Maghrabi Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh agar koi shaks khwab mein dekhe keh angoor lakdi ke awzaar se nichodta hai daleel hai keh zalim badshah ki khidmat karega. Aur agar eent aur mithi se nichodta hai to daleel hai keh baa-diyanat badshah ki khidmat karega. Aur agar pakki eent ya gach aur paththar aur chune se nichotda hai toh daleel hai keh ba-haibat badshah ki khidmat karega.
Khwab Mein Angoor Ki Beil Aur Darakht
Khwab mein angoor ki beil lagana a’zr wa sharf hai. Tamam darakhton ki yehi tabeer hai. Angoor ke beil ki tabeer maaldar aurat se bhi ki jati hai. Aur latka huwa khosha shareef kareemul mizaj aurat hai. Aur baaz ahle tabeer kehte hain keh angoor ki beil kareemun nafs aadmi hai jo angoor ki beil sardiyon mein chadi huwi dekhe toh iski tabeer aurat hai jiska maal jata raha hai.
Jo angoor ki beil aur iske patte dekhe toh woh ek qaum se deen wa Taa’at ka nafa uthayega. Angoor ka darakht us shaks ke liye khair ki daleel hai jo shadi ka irada rakhta hai kyunkeh angoor ki beil baham mukhallasaT hoti hai.
Angoor ke baagh ki bhi yehi tabeer hai. Jo angoor ki beil dekhe keh iske sar ke upar ugi hai toh iske sar mein phode zakham paida honge.
Khwab Mein Angoor Nichodna
Aur agar dekhe keh angoor tasht mein nichodta hai toh is amr ki daleel hai keh kisi ameer aurat ki khidmat karega.
Aur agar dekhe keh angoor ko piyale mein nichodta hai toh daleel hai keh kisi kameene shaks ki khidmat karega.
Aur agar sheera nichodkar matkon mein jama karta hai toh daleel hai keh badshah ke zariye se apne liye bohat sa maal karega.
Aur agar angoor ahl o ayal samet nichodta hai toh daleel hai keh isko aur iske ayal ko badshaah ki khidmat se faida hasil hoga. Aur agar khwab mein dekhne wala badshaah ki khidmat ke layaq nahi hai toh phir isko kisi aur ameer ya hakim se faida hasil hoga.
Hazrat Jafar Sadiq A’laihirreh’ma ne farmaya hai keh angoor ka nichodna bhi 3 wajeh par hai.
- Maal ya khair o barkat
- Faraghi nemat
- QahaT se imaan pana





