Contents
Mard aur Aurat ka Umrah Karne Ka Tarika
Umrah karne ka tarika video
Umrah ka tarika
Umrah ka mana
Umrah ka lughwi mana hai ‘ziyarat karna’. Aur sharayi mana yeh hai keh miqaat se ihram bandhkar Khana e Kaba ka tawaf aur safa wa marwa ke darmiyan sa’eii ki jaye.
Jab rawangi ka waqt qareeb ho, ghar par hi nakhun waghaira kaatkar, zeir e naaf aur baghal ke baal saaf karein, ghusl karke saaf sutre kapde pehnein. Mard begair sili huwi ek chadar bandh lein aur ek oodhlein aur hawayi chappal pehen le. Aurat siley huwe kapde pehen sakti hai. Albatta ihram ki niyyat ke baad chehre par kapda lagne na dein. Iske liye aisi topi pehene jo kapde ko chehre se lagne na deti ho, ya kitab waghaira ke zariye apna chehra chupa sakti hai.Phir 2 rakat namaz ada karein.
Umrah ki niyyat
Jab jahaz hawa mein buland hojaye toh aapne ihram ki niyyat karni hai. Kyuke safar ke darmiyan ek makam aata hai jise kehte hain “Yalamlam”. Hindustan aur Pakistan ke hajiyon aur umrah jane walon ke liye yeh miqaat hai. Chunke hawayi jahaz chalraha hota hai aur pata nahi chalta, isliye is maqam par pohunchne se pehle hi niyyat karlein. Umrah ke qubuliyat ke liye ikhlas ki badi ahmiyat hai. Khuloos ke saath niyyat in alfaz mein karein
Tarjama: “Aye ALLAH mai Umrah karna chahta/chahti hun, tu mere liye isay asan farma, meri janib se isay qubool farma. Is par meri madad farma aur isme mere liye barkat ata farma.“
Phir mard buland awaz se aur auratein ahista awaz se talbiya padhein. Talbiya ke alfaz yeh hain:
لَبَّیكَ الّلهُمَّ لَبَّیكَ، لَبَّیكَ لاشَریكَ لَكَ لَبَّیكَ، إنَّ الْحَمدَ وَ النِّعمَةَ لَكَ وَ الْمُلكَ، لاشَریكَ لَكَ لَبَّیكَ
“Mai hazir hun, Aye ALLAH mai hazir hun, tera koi shareek nahi, mai hazir hun, saari tareefe aur sab nematein aur mulk o badshahat teri hi hain. Tera koi shareek nahi“.
Talbiya padhte hi ihram ki pabandiyan shuru hojayengi.
Halat e Ihram mein Kaunse Kaam Najaiz aur kaunse kaam jaiz hain?
Mard ke liye halat e Ihram mein haram kaam
- Mard ke liye sila huwa kapda pehenna haram. (Lekin auratein pehen sakti hain).
- Mard ke liye kisi bhi cheez se sar dhanpna haram hai (lekin auraton ke liye sar chupana ab bhi lazim hai).
- Mard ka dastana pehenna haram hai (Lekin auratein pehen sakti hain).
- Mard ke liye Mauze ya aise jhoote pehenna jo qadam ki darmiyani ubhari huwi haddi ko chupale haram hai (lekin auraton ke liye iski bhi ijazat hai).
Mard aur Aurat dono ke liye halat e Ihram mein haram kaamo ki tafseel
- Jism, libas ya baalon mein khushbu lagana
- Elaichi, laung waghaira khalis khushbudar cheezein khana, ya aanchal waghaira mein bandhna. Han, agar yeh cheezein salan mein pakakar khayi jaayein toh ab haraj nahi chahe khushbu hi kyu na de rahi hon.
- Zauja ya shohar ko shehwat ke saath chuna ya jimaa karna.
- Jism ke kisi bhi hisse ke baal katna.
- Zaitoon ya til ka teil ya khushbu wala teil jism ya baalon par lagana
- Kisi ka sar mondna chahe woh shaks bhi muhrim ho ya na ho. Yeh us waqt hai jab koi shaks halat e ihram mein maujood ho aur uske darmiyan ho. Agar woh halat e ihram se bahar nikal rahe hain tab halaq, takseer waghaira jaiz hai.
- Kisi se dunyawi ladayi, jhagda karna
- Kisi janwar ka shikar bhi nahi karsakte yahan tak keh kapde ya baalo par chalne wali jun ko bhi nahi maar sakte.
Halat e Ihram mein makrooh kaam
Mazkoora kaam khilaaf e sunnat hain. Is iliye inse bhi bachna zaruri hai.
- Jism ka mayl chudana
- Baalon mein kangi karna
- Beghair khushbu wale sabun se baal dhona ya nahana
- Janbhujkar khushbu sunghna chahe khushbdar phal ya patte ki hi kyu na ho jaise neembu, narangi, pudina ya kisi itar wale ki dukan par is niyyat se baithna ke khushbu aaye.
- Aisi cheez khana ya peena jisme begair pakayi huwi khushbu dali gayi ho aur woh khushbu abi khatam bhi na huwi ho.
- Ghilaaf e Kaaba ko sar ya chehre par lagana. Han, auratein sar par rakhsakti hain lekin chehre par rakhne mein ahtiyat inpar bhi lazim hai.
- Mu ka koi bhi hissa kapde se chupana ya oondhe mu takiye par leytna.
- Begair kisi uzr ke jism par patti bandhna
- Sirf tehband kasne ki niyyat se belt ya rassi waghaira bandhna. Han agar paise waghaira rakhne ki niyyat se bandha toh haraj nahi.
- Taweez bandhna. Han agar begair sile huwe kapde mein lapetkar gale mein daal liya toh haraj nahi. Bazu mein bandhna mana hai. (Lekin auratein sila huwa taweez gale ya bazu mein bandh sakti hain).
- Rufu kiya huwa ya paiband laga huwa kapda pehenna, agarche be sila ho.
Halat e Ihram mein jaiz kaam
- Begair khushbu wala surma lagana
- Miswak karna
- Mayl chudaye begair ghusl karna
- Kisi cheez ke saaye mein baithna ya chatri istemal karna
- Agar kisi wajeh se nakhun tut gaya toh usay juda kardena
- Chuha, chipkali, saanp, girgat, bichu, makkhi, machhar waghaira takleef dene wale janwar ko marna
- Sar ya gaal ke neeche takiya rakhna
- Kaan kapde se chupana
- Khushbu ki milawat se paak nariyal teil jism ya baalon par lagana
- Aaina dekhna
- Hawayi chappal pehenna
- Nikah karna
Haram Shareef mein haziri
Zauq o shauq ke saath talbiya padhte huwe Makkah Mukarrama mein dakhil hon. Gaadi apko apke rihayishi makan par pohuncha degi. Zarurat ho toh aram karlein. Phir chahein toh ghusl ya sirf wuzu karke haram shareef jaayein. Talbiya aur dua padhte huwe dayan pair rakhkar masjid mein dakhil hon. Dakhil hote waqt nafli aitekaaf ki niyyat karlena mustahab hai. Raste se hatkar ek jagah khade hojayein aur jab Kaaba par pehli nazar pade toh yeh dua padhein aur duayein maange. Yeh dua ki qubuliyat ka khas waqt hai.
“ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR”
“La Ilaaha Illallah La Ilaaha Illallah La Ilaaha Illallah”
“Assalatu wassalamu a’laika Ya RasoolALLAH (Sallallahu a’laihi wa sallam)”.
Khoob duayein maange.
Tawaf ka tareeqa
Ab mard hazarat izdteba karein yani chadar ko seedhe baghal ke neeche se nikal kar ulte kandhe par daldein, is tarah daaya kandha khula rahega. Yeh hukum sirf mardo ke liye hai.
Tawaf ki niyyat

Hajra e Aswad ke a’in seedh mein izdebayi halat mein Kaaba ki taraf mu karke is tarah khade hojaye keh poora hajra e aswad apke seedhe haath ki taraf hojaye. Aur tawaf ki niyyat karein.

“Aye ALLAH, mai teri raza ke liye tere ghar ka tawaf karna chahta hun/ chahti hun, isay mere liye asan farma aur mujhse qubool farma.“
Niyyat ke baad ab Hajra e aswad ke ain samne khade hojaye.
Dono haath is tarah uthayein keh hateliyan hajra e aswad ki taraf rahein aur padhein:

Agar mumkin ho toh hajra e aswad shareef par donon hateliyan aur unke beech mein muh rakhkar yun bosa dijiye keh aawaz paida na ho. Teen baar aisa hi karein. Is baat ka khayal rahe keh logon ko eeza na ho aur yeh bhi pehle se daikhlein keh kahi uspar khushbu toh nahi lagi warna dum lazim aasakta hai. Agar bosa lena mumkin na ho toh door se hi ishara karke apne haathon ko bosa dein.
Mard pehle 3 chakkaro mein ramal karte chalenge yani jald jald nazdeek qadam rakhte huwe, shanein hilate huwe chalein.
Rukne yemani pohunchne tak durood ya duayein khatam kardijiye. Ab agar bheed ki wajeh se apni ya dosro ki eeza ka andesha na ho toh rukne yemani ko dono haathon se seedhe haath se tabarrukan chuyein. Mauqa mile toh bosa bhi dein. Magar ehtiyat zaruri hai keh qadam aur seena Kaaba e musharrifa ki taraf na hon. Agar chumne ya chune ka mauqa na mile toh yahan haathon ko chumna sunnat nahi.
Rukne Yemani aur rukne Aswad ki darmiyani deewar ko mustajab kehte hain. Yahan dua par ameen kehne ke liye 70,000 farishte muqarrar hain. Aap jo chahein apni zuban mein dua maangein ya yeh dua maange
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye hamare Rab, hamein dunya mein bhalayi de, aur hamein aakhirat mein bhalayi de aur hamein a’zaab e dozakh se bacha.
Yeh lijiye, aap hajra e aswad par aa pohunche aur hayan apka ek chakar poora huwa. Ab dosra chakkar shuru karne ke liye pehle hi ki tarah haath uthakar dua padhkar istilam karein aur tawaf karein. Isi tarah kul 7 chakkar aur 8 istilam poore karein.
Maqam e Ibrahim

Ab mard hazarat apna seedha kandha dhaanp lein aur maqam e Ibrahim par aakar yeh aayat e muqaddasa padhein, وَٱتَّخِذُوا۟ مِن مَّقَامِ إِبْرَٰهِۦمَ مُصَلًّى [Surah Baqarah ayat 125]
Namaz e Tawaf
Ab maqam e Ibrahim ke qareeb jagah mile toh behtar warna masjid e haram mein jahan bhi jagah mile agar waqt e makrooh na ho toh do rakat namaz e tawaf ada karein. Pehli rakat mein surah Fatiha ke baad surah kafiroon padhein aur dosri mein surah ikhlas padhein. Yeh namaz wajib hai.
Multazim par hazri

Namaz wa dua se faarigh hokar multazim se lipat jaayein. Darwaza e Kaaba aur hajra e aswad ke darmiyani hisaa ko multazim kehte hain. Isme darwaza e Kaaba shamil nahi. Khoob aasu bahakar apne parwardigar se apne aur tamam ummat ke liye dua karein keh yeh maqam e qubul hai. Aur durood aur duayein bhi padhein.
Ek ahem masala
Multazim par namaz e tawaf ke baad aana us tawaf mein hai jiske baad sae’ii hai. Aur jiske baad sae’ii na ho masalan tawaf e nafl ya tawaf e ziyarah usme namaz se pehle multazim se liptein. Phir maqam e Ibrahim ke paas jakar 2 rakat namaz ada karein.
Aab e Zam Zam
Ab aab e zam zam par aakar qibla ru khade khade Bismillahir Rahman Nir Rah’eem padhkar 3 saans mein khoob peit bharkar peeyein. Peene ke baad Alh’amdulillah kahein.Har baar Kaaba musharrafa ki taraf nigaah uthakar daikh lein. Kuch pani jism par bhi daalein. Muh, sar aur jism par ussay masaah bhi karein magar yeh ahtiyat rakhein keh koi qatra zameen par na giray.
Hadith shareef mein hai keh Zam zam jis maqsad ke liye piya jaayega woh maqsad hasil hojayega. Aab e zam zam peekar yeh dua padhein
اَللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا , وَ رِزْقًا طَيَّبًا , وَ عَمَلاً مُتَقَبَّلاً
Aye ALLAH, mai tujhse ilm e naafey aur kushada rizq aur amal e maqbool aur har bimari se shifa ka suwal karta hun
Safa wa Marwa ki Sae’ii

Ab agar koi majburi ya thakan waghaira na ho toh abhi warna aaram karke safaa wa marwa mein sae’ii karne ke liye tayyar hojayein. Ab hajra e aswad ka pehle hi ki tarah dono haath kaano tak uthakar dua padhkar istilam karein.
Ab baab us Safa par aayein. Koohe Safa chunke masjid e haraam se bahar waaqey hai aur hamesha masjid se bahar nikalte waqt ultha paao pehle rakhna sunnat hai. Aur yeh dua padhein,

Koohe Safa ki dua
Durood o salam padhte huwe safa par jab itna chad chuke hon keh Kaaba mua’zzama nazar aaraha ho toh yani agar deewarein waghaira darmiyan mein na hoti toh Kaaba mua’zzama yahan se nazar aata. Isse zyada chadne ki hajat nahi. Ab masnoon duayein ya durood e pak padhein. Dono haath hasb e mamool dua ki tarah uthakar Kaaba e mua’zzama ki taraf muh karke itni dair dua karein jitni dair surah baqarah ki 25 aayaton ki tilawat ki jaaye. Khoob gidgidakar dua maange keh yeh qubuliyat ka maqam hai. Durood e shareef padhkar yeh dua karein.


Sae’ii ki niyyat
Safa pohunchkar sae’ii ki niyyat in alfazo mein karein

Safa se ab zikr o durood mein mashghool darmiyana chal chalte huwe marwa ki taraf chalein. Jab sabz sutoono ke qareeb pohunche toh mard hazarat aitedal ke saath daudein. Khwateen na daudein. Aur masnoon duayein ya durood e pak padhein. Job dosra sabz meil aaye toh ahista hojayein. Phir marwa par pohunchkar qibla rukh hokar dua karein. Yeh ek chakkar mukammal hogaya. Ab niyyat ki zarurat nahi kyunke pehle hochuki hai. Isi tarah dosra chakkar safa par, teesra marwa par. Is tarah saatwan chakkar marwa par khatam hoga. Har chakkar mein mard hazarat sabz sutoono ke darmiyan daudenge.
Ab hosake toh masjid e haraam mein 2 rakat nafl namaz shukrane ke taur par padhein. Hamare pyare Aaqa (sallallahu a’laihi wa sallam) ne sae’ii ke baad mataaf ke kinare hajra e aswad ki seedh mein do nafal ada farmayi hain.
Halaq ya takseer
Ab mard halaq karein yani sar mond dein aur auratein taqseer karein yani baal katarwayein.
Aurton ko sar mondana haram hai, woh sirf taqseer karwayein. Iska aasan tareeqa yeh hai keh apni choti ke sirey ko ungli ke ek poore se kuch zyada kaat lein. Lekin yeh ahtiyat lazimi hai keh kam az kam chauthayi sar ke baal ek poore barabar kat jaayein.
Alh’amdulillah, mubarak ho aap umrah se faarigh hogaye.



Aslamoalikam,
kaya Jeddah şey ehram bandh kur umrah ki niyyat kur suktey tein ya Meeqat kaha şey suhru houta hey??