Khwab Mein Kaba Dekhna

Khwab Mein Kaba Dekhna
  1. Khwab mein Khana Kaba dekhna kaisa?

    Hazrat Jafar Sadiq (rehmatullahi a’laih) ne farmaya hai keh khwab mein Kaba 4 wajeh par hai

    1. Khalifa
    2. Imam
    3. Imaan aur Musalmani
    4. Khauf se sab tarah ka aman
  2. Khwab me kaba dekhe ki tabeer

    Khwab mein khana e kaba dekhna waqt ke Khalifa, Imam, wazeer, ya raees par dalalat karta hai. Isme ziyadati ya kami ke hisab se uske khilafat mein ziyadati ya kami hogi. Ziyarat karne wala agar iska ahel hai toh khilafat hasil hogi. Jo shaks kaaba shareef ko dekhe toh yeh khair e muqaddam ya khair e muakhar ki daleel hai.

    Kabhi, Kaba ki tabeer aman se bhi hoti hai. Apne aap ko khana kaba mein dekhna aman paane par bhi dalalat karta hai. Yani, agar kisi dushman ka khatra hai toh usse aman payega; Agar kisi bimari mein mubtala hai toh usse shifa payega; Koi pareshani ya musibat mein giraftar hai toh usse nijat payega aur uski dua qubool hogi. Hazrat Ibrahim Kirmani rehmatullahi a’laih ne farmaya hai keh Kaaba ka asal imaan aur musalmani hai. Aur agar apne aapko kaba mein dekhe daleel hai keh dushman ki shararaton se aman mein rahega aur uski dua qubool hogi.

  3. Khwab mein Ghar ke andar Kaba dekhna

    Agar dekhe ke Kaba uske ghar ke andar hai toh hamesha zee sultan aur logon mein shohrat yafta rahega.

    Agar dekhe keh uska ghar kaaba hogaya hai aur log ziyarat ke liye aate hain, daleel hai keh amanat ki hifazat karega aur izzat aur martaba payega.

  4. Khwab mein Kaaba ka tawaf dekhna

    Agar dekhe keh usne Khana kaba ka tawaf kiya hai toh yeh uske deen ki islah aur behtar hone par dalalat karta hai. Agar khalifa hai toh rahat wa sukoon paane ki daleel hai.

  5. Khwab mein kaba ke andar jana

    Hazrat Jabir Maghrabi (Reh’matullahi a’laih) ne farmaya hai, agar badshah dekhe keh Kaba mein gaya hai daleel hai keh khaleefa se buzurgi payega. Agar dekhe keh Kaba gira ya jala hai toh khalifa ka haal bura hoga. Aur agar dekhe keh usne Kaba mein koi cheez li hai, daleel hai ke usko khalifa se faida hoga. Agar dekhe keh Kaabe mein namaz padhi hai, daleel hai keh khalifa se iska kaam umda hoga. Ya Haj nasib hoga.

  6. Khwab mein Kaaba ka darwaza dekhna

    Ghalba, bulandi aur kamyabi ka naseeb hona. Agar darwaza khula huwa dekha aur apne aap ko andar jate huwe dekha toh haj ki saa’dat nasib hone ki daleel hai.

  7. Khwab mein Kaaba ka ghilaf dekhna

    Khair o bhalayi, maqam o izzat ki daleel hai.

  8. Khwab mein khana Kaba ki chat dekhna

    Kaba ki chat dekhna khair wa bhalayi ki alamat hai. Lekin apne aap ko Kaabe ki chat par khada huwa dekhna badmazhab hone ki daleel hai. Usko chahiye ke Astaghfaar kare aur apne aqaaid wa aamaal ki islah kare.

  9. Khwab mein hajra e aswad chumna

    Agar dekhe keh Hajra e Aswad ki taraf rukh karke bosa deta hai, daleel hai keh Haj karega. Aur agar dekhe keh Huzoor (sallallahu a’laihi wa sallam) ki mubarak ziyarat kar raha hai, ya maqam e Ibrahimi ko dekha hai, daleel hai keh Hajj ko jayega aur salamati se wapas aayega.


Apne masle ke hal ke liye ka khwab ki tabeer ke liye comment karein ya yaha apna suwal post karein ya Email Id [email protected] par rabta karein.

Yeh post Khwab Mein Kaba Dekhnay Ki Tabeer ko apne dost o ahbaab ke saath share karein

6 thoughts on “Khwab Mein Kaba Dekhna

  1. hello,
    really i am searching khawab ki tabeer and i find here,

    thanks for share this kind of khwabon ki tabeer

  2. I saw khana kabab log tawaf kr rahy hty hain mai jati n rasta khali hti mai bosa daiti khana kaba ko. Sth kaba py surakh hta hai us k andr dkhti mai n kch hta mai dar k pchy ho jati . Sth mery husband ke cuzn khari hti wh meri trf bicho( scorpio) krti hai has k mai dr k dor ho jati n phr us ka bhai aata us k hth mai bhi hty mai bhag jati dor n ankh khul jati meri

  3. Mene khaab me dekha k nabi pak (s.a.w) ne khana kaba ki jagah tabdeel kar di hai..means wo nazar nahi atay par news pheli hoti k khana kaba ki jagah badal di gayi hai..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.